tera KHayal hai ab chashm-e-tar ka zawiya dekh
tirā ḳhayāl hai ab chashm-e-tar kā zāviya dekh
tire baġhair bhī zinda huuñ merā hausla dekh
idhar sitam kī havā hausloñ ke diip udhar
mayān-e-bātil-o-haq hai bapā jo ma.arka dekh
diloñ ke khel meñ rusvā.ī bhī hai ġham bhī haiñ
ye pahle soch le phir kar koī muāhida dekh
dil-o-nigāh meñ rakh sirf manzil-e-maqsūd
kiyā hai azm safar kā to phir na fāsla dekh
tujhe kahā thā ki itnī na Dhiil de dil ko
so ab rukegā kahāñ ḳhvāhishoñ kā qāfila dekh
abhī hai vaqt yahīñ saath chhoḌ de merā
bahut kaThin hai mirī jaañ vafā kā rāsta dekh
vo dekh sāmne raushan charāġh-e-manzil hai
hai 'zebī' azm safar kā to phir na fāsla dekh
tera KHayal hai ab chashm-e-tar ka zawiya dekh
tere baghair bhi zinda hun mera hausla dekh
idhar sitam ki hawa hauslon ke dip udhar
mayan-e-baatil-o-haq hai bapa jo marka dekh
dilon ke khel mein ruswai bhi hai gham bhi hain
ye pahle soch le phir kar koi muahida dekh
dil-o-nigah mein rakh sirf manzil-e-maqsud
kiya hai azm safar ka to phir na fasla dekh
tujhe kaha tha ki itni na Dhil de dil ko
so ab rukega kahan KHwahishon ka qafila dekh
abhi hai waqt yahin sath chhoD de mera
bahut kaThin hai meri jaan wafa ka rasta dekh
wo dekh samne raushan charagh-e-manzil hai
hai 'zebi' azm safar ka to phir na fasla dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.