tera KHayal musafir ke saeban sa hai
tirā ḳhayāl musāfir ke sā.ebān sā hai
zamīn-e-ishq kī ḳhātir tū āsmān sā hai
jo kal talak mire saa.e kā bhī muḳhālif thā
sunā hai aaj vo dushman bhī mehrbān sā hai
agar ho azm javāñ ham-safar musāfir ke
akelā ho ke bhī vo shaḳhs kārvān sā hai
vo jis ne joḌ diyā vasl ko firāq ke saath
vo lamha dosto nā-qābil-e-bayān sā hai
hamāre baare meñ vāzeh nahīñ ḳhayāl us kā
kabhī vo ḳhush to kabhī qadre bad-gumān sā hai
bapā hai kaisā talātum jigar kī bastī meñ
mirī ġhazal kā har ik lafz tarjumān sā hai
tera KHayal musafir ke saeban sa hai
zamin-e-ishq ki KHatir tu aasman sa hai
jo kal talak mere sae ka bhi muKHalif tha
suna hai aaj wo dushman bhi mehrban sa hai
agar ho azm jawan ham-safar musafir ke
akela ho ke bhi wo shaKHs karwan sa hai
wo jis ne joD diya wasl ko firaq ke sath
wo lamha dosto na-qabil-e-bayan sa hai
hamare bare mein wazeh nahin KHayal us ka
kabhi wo KHush to kabhi qadre bad-guman sa hai
bapa hai kaisa talatum jigar ki basti mein
meri ghazal ka har ek lafz tarjuman sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.