Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera lahja teri pahchan mubarak ho tujhe

Mohammad Shahid Firoz

tera lahja teri pahchan mubarak ho tujhe

Mohammad Shahid Firoz

MORE BYMohammad Shahid Firoz

    tirā lahja tirī pahchān mubārak ho tujhe

    tirī vahshat tirā haijān mubārak ho tujhe

    maiñ mohabbat pujārī huuñ so maiñ jaatā huuñ

    ya.anī nafrat ye sāmān mubārak ho tujhe

    aañkh meñ tanz-o-ra.ūnat chamak baaqī rahe

    lab pe ye talḳh muskān mubārak ho tujhe

    maiñ duā kartā huuñ shahr-e-charāġhāñ meñ rahe

    tirā har ḳhvāb-e-gulistān mubārak ho tujhe

    hukūmat hai shauqīn tirā bantā hai

    bebasī shahr sultān mubārak ho tujhe

    maiñ to mar kar bhī mirī jaan bachā lūñgā use

    tujh meñ martā huā insān mubārak ho tujhe

    rahā huuñ maiñ tire shahr se yādeñ le kar

    mire dilbar tirā multān mubārak ho tujhe

    ye bichhaḌnā agar hal hai to ranjish kaisī

    jaao jaao mirī jaan mubārak ho tujhe

    tera lahja teri pahchan mubarak ho tujhe

    teri wahshat tera haijaan mubarak ho tujhe

    main mohabbat ka pujari hun so main jata hun

    yani nafrat ka ye saman mubarak ho tujhe

    aankh mein tanz-o-raunat ki chamak baqi rahe

    lab pe ye talKH si muskan mubarak ho tujhe

    main dua karta hun tu shahr-e-charaghan mein rahe

    tera har KHwab-e-gulistan mubarak ho tujhe

    tu hukumat ka hai shauqin tera banta hai

    bebasi shahr ki sultan mubarak ho tujhe

    main to mar kar bhi meri jaan bacha lunga use

    tujh mein marta hua insan mubarak ho tujhe

    ja raha hun main tere shahr se yaaden le kar

    mere dilbar tera multan mubarak ho tujhe

    ye bichhaDna hi agar hal hai to ranjish kaisi

    jao na jao meri jaan mubarak ho tujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now