tera mahbub tera pyar koi aur hai na
tirā mahbūb tirā pyaar koī aur hai nā
ab tirā yaar mire yaar koī aur hai nā
kis tarah aap ye be-parda chale aa.e haiñ
aap kī diid kā haqdār koī aur hai nā
tirī āñkhoñ se ye gauhar jo nikal aatā hai
is ke aane kā sabab zaar koī aur hai nā
maiñ ne dekhā hai tirī aañkh meñ ye bhī hamdam
tire dil meñ hai jo asrār koī aur hai nā
ḳhvā-maḳhvāh tere hī chakkar meñ paḌā hai ye dil
husn kā tere parastār koī aur hai nā
dil-e-nādāñ ko ye samjhā de 'hirā' ḳhud hī tū
tere afsāne kā kirdār koī aur hai nā
tera mahbub tera pyar koi aur hai na
ab tera yar mere yar koi aur hai na
kis tarah aap ye be-parda chale aae hain
aap ki did ka haqdar koi aur hai na
teri aankhon se ye gauhar jo nikal aata hai
is ke aane ka sabab zar koi aur hai na
main ne dekha hai teri aankh mein ye bhi hamdam
tere dil mein hai jo asrar koi aur hai na
KHwa-maKHwah tere hi chakkar mein paDa hai ye dil
husn ka tere parastar koi aur hai na
dil-e-nadan ko ye samjha de 'hira' KHud hi tu
tere afsane ka kirdar koi aur hai na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.