tera majnun hun sahra ki qasam hai
tirā majnūñ huuñ sahrā kī qasam hai
talab meñ huuñ tamannā kī qasam hai
sarāpā naaz hai tū ai parī-rū
mujhe tere sarāpā kī qasam hai
diyā haq husn-e-bālā-dast tujkūñ
mujhe tujh sarv-e-bālā kī qasam hai
kiyā tujh zulf ne jag kuuñ divānā
tirī zulfāñ ke saudā kī qasam hai
do-rañgī tark kar har ik se mat mil
tujhe tujh qadd-e-rānā kī qasam hai
kiyā tujh ishq ne aalam kuuñ majnūñ
mujhe tujh rashk-e-lailā kī qasam hai
'valī' mushtāq hai terī nigah kā
mujhe tujh chashm-e-shahlā kī qasam hai
tera majnun hun sahra ki qasam hai
talab mein hun tamanna ki qasam hai
sarapa naz hai tu ai pari-ru
mujhe tere sarapa ki qasam hai
diya haq husn-e-baala-dast tujkun
mujhe tujh sarw-e-baala ki qasam hai
kiya tujh zulf ne jag kun diwana
teri zulfan ke sauda ki qasam hai
do-rangi tark kar har ek se mat mil
tujhe tujh qadd-e-rana ki qasam hai
kiya tujh ishq ne aalam kun majnun
mujhe tujh rashk-e-laila ki qasam hai
'wali' mushtaq hai teri nigah ka
mujhe tujh chashm-e-shahla ki qasam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.