tera paikar tera saya nahin hai
tirā paikar tirā saayā nahīñ hai
koī bhī to tire jaisā nahīñ hai
jo guzrā hai tirī chāhat se haT kar
vo merī ziist kā lamha nahīñ hai
samundar meñ chhupe haiñ kitne tūfāñ
ye sāhil ko bhī andāza nahīñ hai
mirī har saañs hai tujh se ibārat
ibādat kā mujhe da.avā nahīñ hai
tera paikar tera saya nahin hai
koi bhi to tere jaisa nahin hai
jo guzra hai teri chahat se haT kar
wo meri zist ka lamha nahin hai
samundar mein chhupe hain kitne tufan
ye sahil ko bhi andaza nahin hai
meri har sans hai tujh se ibarat
ibaadat ka mujhe dawa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.