tera shiar teri dhaj mere KHayal mein hai
tirā shi.ār tirī dhaj mire ḳhayāl meñ hai
subhāv ġham meñ mire tamkanat malāl meñ hai
vo terā kaif-e-tabassum vo vālehāna-pan
mire junūñ kī chamak bhī tire jamāl meñ hai
tire takallum-e-rā.anā-o-ḳhush-ḳhayāl kī ḳhair
jo aish zaḳhm meñ thā ab vo indimāl meñ hai
adā-e-nāz se hai terī hijr meñ ab ke
ilāj-e-har-alam-o-yās ehtimāl meñ hai
vo be-ḳhudī hai ki dil meñ samāñ sajā hai koī
firāq Duubā huā masti-e-visāl meñ hai
fuġhāñ ko zamzama kar de junūñ ko shānt kare
ye rang bhī to mire yār-e-ḳhush-ḳhisāl meñ hai
bharosa hī kaf-e-dariyā-e-dil kā kyā 'kāvish'
abhī to maanā ki had meñ hai e'tidāl meñ hai
tera shiar teri dhaj mere KHayal mein hai
subhaw gham mein mere tamkanat malal mein hai
wo tera kaif-e-tabassum wo walehana-pan
mere junun ki chamak bhi tere jamal mein hai
tere takallum-e-raana-o-KHush-KHayal ki KHair
jo aish zaKHm mein tha ab wo indimal mein hai
ada-e-naz se hai teri hijr mein ab ke
ilaj-e-har-alam-o-yas ehtimal mein hai
wo be-KHudi hai ki dil mein saman saja hai koi
firaq Duba hua masti-e-visal mein hai
fughan ko zamzama kar de junun ko shant kare
ye rang bhi to mere yar-e-KHush-KHisal mein hai
bharosa hi kaf-e-dariya-e-dil ka kya 'kawish'
abhi to mana ki had mein hai e'tidal mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.