tera wada tha wada rah gaya hai
tirā va.ada thā va.ada rah gayā hai
hamārā sabr taktā rah gayā hai
vahī hai dard āñkhoñ meñ abhī tak
jo tujh se ishq aadhā rah gayā hai
mire vo zaḳhm saare bhar ga.e the
magar dil phir bhī TuuTā rah gayā hai
adhūre ḳhvāb saare miT ga.e haiñ
tumhārā naam likkhā rah gayā hai
ravāna kab se gaaḌī ho ga.ī hai
hamārā haath hiltā rah gayā hai
musavvir Thiik hai tasvīr saarī
mirā chehrā kyuuñ saada rah gayā hai
ġhazal 'iqrā' mukammal ho chukī hai
magar sar hai ki dukhtā rah gayā hai
tera wada tha wada rah gaya hai
hamara sabr takta rah gaya hai
wahi hai dard aankhon mein abhi tak
jo tujh se ishq aadha rah gaya hai
mere wo zaKHm sare bhar gae the
magar dil phir bhi TuTa rah gaya hai
adhure KHwab sare miT gae hain
tumhaara nam likkha rah gaya hai
rawana kab se gaDi ho gai hai
hamara hath hilta rah gaya hai
musawwir Thik hai taswir sari
mera chehra kyun sada rah gaya hai
ghazal 'iqra' mukammal ho chuki hai
magar sar hai ki dukhta rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.