tere aane se harakat aa gai hai
tire aane se harakat aa ga.ī hai
tabīb aa dekh rañgat aa ga.ī hai
tumhāre phuul sūkhe jā rahe haiñ
kitāboñ ko ḳhayānat aa ga.ī hai
nigūñ thā sar musalle par zarā der
maiñ samjhā thā ibādat aa ga.ī hai
tabhī dil dūñgā jab dil bhī milegā
mujhe bhī ab tijārat aa ga.ī hai
diloñ kā haal kah sun letā hai vo
use pās-e-rifāqat aa ga.ī hai
tere aane se harakat aa gai hai
tabib aa dekh rangat aa gai hai
tumhaare phul sukhe ja rahe hain
kitabon ko KHayanat aa gai hai
nigun tha sar musalle par zara der
main samjha tha ibaadat aa gai hai
tabhi dil dunga jab dil bhi milega
mujhe bhi ab tijarat aa gai hai
dilon ka haal kah sun leta hai wo
use pas-e-rifaqat aa gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.