tere abru pe bal aaya to hota
tire abrū pe bal aayā to hotā
zarā ġhairoñ ko dhamkāyā to hotā
bajā.e farsh maiñ āñkheñ bichhātā
tū apne va.ade par aayā to hotā
samajhte farsh par ham chādar-e-gul
tirā ai rashk-e-gul saayā to hotā
shikāyat aa.egī ai jazb-e-ulfat
janāze par use laayā to hotā
kiyā thā gar falak tū ne siyah-baḳht
to maiñ us maah kā saayā to hotā
na hotā dard-e-sar phir tum ko 'ājiz'
sar us ke dar pe Takrāyā to hotā
tere abru pe bal aaya to hota
zara ghairon ko dhamkaya to hota
bajae farsh main aankhen bichhata
tu apne wade par aaya to hota
samajhte farsh par hum chadar-e-gul
tera ai rashk-e-gul saya to hota
shikayat aaegi ai jazb-e-ulfat
janaze par use laya to hota
kiya tha gar falak tu ne siyah-baKHt
to main us mah ka saya to hota
na hota dard-e-sar phir tum ko 'ajiz'
sar us ke dar pe Takraya to hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.