tere baad is jahan mein koi dusra nahin tha
tire ba.ad is jahāñ meñ koī dūsrā nahīñ thā
are be-misāl tujh sā koī bevafā nahīñ thā
mirā Dūbtā safīna kahūñ kaise paar utrā
mire saath ik ḳhudā thā koī nā-ḳhudā nahīñ thā
tire ishq ke talātum ne Dubo diyā hai varna
to ai mauj-e-reg maiñ bhī koī bulbulā nahīñ thā
to ThiThurtī sardiyoñ meñ kabhī aag lene aatī
maiñ jigar jalā.e rakhtā koī dil-jalā nahīñ thā
vo misāl-e-ḳhvāb-e-manzar na lage palak palak se
koī ḳhvāb phir na jaage mujhe ye patā nahīñ thā
tire is marīz-e-dil tak tū kabhī pahuñch na paa.ī
tū ye baat so chhupā.e maiñ kahīñ chhupā nahīñ thā
maiñ tamām hosh kho kar tire dar pe jaañ se jaatā
tire ghar ke rāstoñ meñ kahīñ mai-kada nahīñ thā
tere baad is jahan mein koi dusra nahin tha
are be-misal tujh sa koi bewafa nahin tha
mera Dubta safina kahun kaise par utra
mere sath ek KHuda tha koi na-KHuda nahin tha
tere ishq ke talatum ne Dubo diya hai warna
to ai mauj-e-reg main bhi koi bulbula nahin tha
to ThiThurti sardiyon mein kabhi aag lene aati
main jigar jalae rakhta koi dil-jala nahin tha
wo misal-e-KHwab-e-manzar na lage palak palak se
koi KHwab phir na jage mujhe ye pata nahin tha
tere is mariz-e-dil tak tu kabhi pahunch na pai
tu ye baat so chhupae main kahin chhupa nahin tha
main tamam hosh kho kar tere dar pe jaan se jata
tere ghar ke raston mein kahin mai-kada nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.