tere baghair dil-o-jaan ki KHairiyat kaisi
tire baġhair dil-o-jāñ kī ḳhairiyat kaisī
jo bādshāh nahīñ hai to saltanat kaisī
vo jis kī nasl meñ īmān bhī tijārat hai
batāo aise qabīle kī maġhfirat kaisī
panāh dhuup ke sahrā meñ DhūñDne vaalo
jahāñ makāñ hī nahīñ hai vahāñ pe chhat kaisī
hamārā naam hī jab bāġhiyoñ meñ likkhā hai
adālatoñ se phir apnī musālahat kaisī
kiye haiñ ḳhuun se jangal ne dastaḳhat jis par
lagā hisāb ki hogī vo shahriyat kaisī
tere baghair dil-o-jaan ki KHairiyat kaisi
jo baadshah nahin hai to saltanat kaisi
wo jis ki nasl mein iman bhi tijarat hai
batao aise qabile ki maghfirat kaisi
panah dhup ke sahra mein DhunDne walo
jahan makan hi nahin hai wahan pe chhat kaisi
hamara nam hi jab baghiyon mein likkha hai
adalaton se phir apni musalahat kaisi
kiye hain KHun se jangal ne dastaKHat jis par
laga hisab ki hogi wo shahriyat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.