tere baghair kaTe din na shab guzarti hai
tire baġhair kaTe din na shab guzartī hai
hayāt kis se kahūñ kaise ab guzartī hai
gumān hotā hai mujh ko tumhāre aane kā
havā idhar se dabe paañv jab guzartī hai
hamārā kyā hai kisī taur kaT hī jā.egī
sukūñ se un kī to shām-e-tarab guzartī hai
mujhe vo lamha qayāmat se kam nahīñ hotā
koī karāh samā.at se jab guzartī hai
guzar rahā huuñ jis ehsās ke azaab se maiñ
qayāmat aisī kisī dil pe kab guzartī hai
ye rāh-e-shauq hai kuchh ehtiyāt hai lāzim
'zakī' sabā bhī yahāñ bā-adab guzartī hai
tere baghair kaTe din na shab guzarti hai
hayat kis se kahun kaise ab guzarti hai
guman hota hai mujh ko tumhaare aane ka
hawa idhar se dabe panw jab guzarti hai
hamara kya hai kisi taur kaT hi jaegi
sukun se un ki to sham-e-tarab guzarti hai
mujhe wo lamha qayamat se kam nahin hota
koi karah samaat se jab guzarti hai
guzar raha hun jis ehsas ke azab se main
qayamat aisi kisi dil pe kab guzarti hai
ye rah-e-shauq hai kuchh ehtiyat hai lazim
'zaki' saba bhi yahan ba-adab guzarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.