Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere baghair masafat ka gham kahan kam hai

Akhtar Shumar

tere baghair masafat ka gham kahan kam hai

Akhtar Shumar

MORE BYAkhtar Shumar

    tire baġhair masāfat ġham kahāñ kam hai

    magar ye dukh ki mirī umr-e-rā.egāñ kam hai

    mirī nigāh vus.at bhī is meñ shāmil kar

    mirī zamīn pe terā ye āsmāñ kam hai

    tujhe ḳhabar bhī kahāñ hai mire irādoñ

    merī sochtī āñkhoñ rāz-dāñ kam hai

    isī se ho ga.e mānūs tā.irān-e-chaman

    vo jo ki baaġh dushman hai bāġhbāñ kam hai

    agarche shahr meñ phailī kahāniyāñ haiñ bahut

    koī bhī sunñe-sunāne ko dāstāñ kam hai

    nigāh o dil pe khulī haiñ haqīqateñ kaisī

    ye dil udaas ziyāda hai shādmāñ kam hai

    ab is se baḌh ke bhī koī hai pul-sirāt abhī

    maiñ rahā huuñ yahāñ jaise imtihāñ kam hai

    tere baghair masafat ka gham kahan kam hai

    magar ye dukh ki meri umr-e-raegan kam hai

    meri nigah ki wusat bhi is mein shamil kar

    meri zamin pe tera ye aasman kam hai

    tujhe KHabar bhi kahan hai mere iradon ki

    tu meri sochti aankhon ka raaz-dan kam hai

    isi se ho gae manus tairan-e-chaman

    wo jo ki bagh ka dushman hai baghban kam hai

    agarche shahr mein phaili kahaniyan hain bahut

    koi bhi sunne-sunane ko dastan kam hai

    nigah o dil pe khuli hain haqiqaten kaisi

    ye dil udas ziyaada hai shadman kam hai

    ab is se baDh ke bhi koi hai pul-siraat abhi

    main ji raha hun yahan jaise imtihan kam hai

    Source :
    • Book : hamen teri tamanna hai (Pg. 24)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now