tere bin kis tarah basar hogi
tire bin kis tarah basar hogī
is shab-e-ġham kī kyā sahar hogī
itnā māyūs huuñ judā.ī se
vo bhī māyūs kis qadar hogī
zindagī ho ki raat ho yaaro
ik na ik roz to sahar hogī
yūñhī din bhar phireñge āvāra
yahī tadbīr raat bhar hogī
'rashk' duniyā ko dekhne vaalī
terī shāyad na.ī nazar hogī
tere bin kis tarah basar hogi
is shab-e-gham ki kya sahar hogi
itna mayus hun judai se
wo bhi mayus kis qadar hogi
zindagi ho ki raat ho yaro
ek na ek roz to sahar hogi
yunhi din bhar phirenge aawara
yahi tadbir raat bhar hogi
'rashk' duniya ko dekhne wali
teri shayad nai nazar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.