tere dant sare safed hain pae-zeb pan se mal kar aa
tire daañt saare safed haiñ pa.e-zeb paan se mal kar aa
nahīñ dekhe aaj tak abr meñ mujhe ab dikhāne ko aḳhtar aa
shab-e-vā'da tū agar aa.e hai to darañg kyā hai mire ghar aa
ki ye āñkheñ lag rahī dar se haiñ shab-e-rashk-e-mah ba-ḳhudā dar aa
mire sar pe har ghaḌī fāḳhta kare kaam kyūñki na are kā
qad-e-dil-rubā ke huzūr tū na chaman meñ ban ke sanobar aa
mire tan se sar ko judā kar ab nahīñ ḳhūñ-bahā kī mujhe talab
ki ye tan ye bār-e-girāñ hai bas kahīñ teġh le ke sitamgar aa
ye makāñ haiñ donoñ tire liye nahīñ ġhair kā hai yahāñ guzar
jo tū chashm meñ nahīñ aa.e hai mire dil meñ yaar suḳhanvar aa
tirī raah dekhūñ maiñ tā-kujā kahūñ kis se ye ki ḳhabar hī lā
mirā us se le ke javāb-e-ḳhat kahīñ jald uḌ ke kabūtar aa
ba-juz abr de but-e-bāda-kash nahīñ dil ke vāste jā.e-ḳhush
ki ye shīsha aur vo taaq hai tū 'nasīr' jā ke use dhar aa
tere dant sare safed hain pae-zeb pan se mal kar aa
nahin dekhe aaj tak abr mein mujhe ab dikhane ko aKHtar aa
shab-e-wa'da tu agar aae hai to darang kya hai mere ghar aa
ki ye aankhen lag rahi dar se hain shab-e-rashk-e-mah ba-KHuda dar aa
mere sar pe har ghaDi faKHta kare kaam kyunki na are ka
qad-e-dil-ruba ke huzur tu na chaman mein ban ke sanobar aa
mere tan se sar ko juda kar ab nahin KHun-baha ki mujhe talab
ki ye tan ye bar-e-giran hai bas kahin tegh le ke sitamgar aa
ye makan hain donon tere liye nahin ghair ka hai yahan guzar
jo tu chashm mein nahin aae hai mere dil mein yar suKHanwar aa
teri rah dekhun main ta-kuja kahun kis se ye ki KHabar hi la
mera us se le ke jawab-e-KHat kahin jald uD ke kabutar aa
ba-juz abr de but-e-baada-kash nahin dil ke waste jae-KHush
ki ye shisha aur wo taq hai tu 'nasir' ja ke use dhar aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.