tere darida gareban mein ye rafu kya hai
tire darīda garebāñ meñ ye rafū kyā hai
tujhe ḳhabar nahīñ majnūñ kī aabrū kyā hai
mujhe to aap kī āñkhoñ ne kar diyā sarshār
mujhe ḳhabar hī nahīñ jaam kyā subū kyā hai
na jaane hogā bhī donoñ meñ ittifāq kabhī
mizāj-e-husn hai kyā merī aarzū kyā hai
majāz hai ki haqīqat savāb hai ki gunāh
pata nahīñ ki ye duniyā-e-rang-o-bū kyā hai
lahū to vo hai jo uble shahīd kī rag se
rag-e-gulū se na ublā to phir lahū kyā hai
mujhe hai jurm-e-mohabbat kā e'tirāf 'urūj'
mirī sazā meñ koī bahs-o-guftugū kyā hai
baḌe baḌoñ ke qadam jis maqām par larzeñ
'urūj' tū hī batā us jagah pe tū kyā hai
tere darida gareban mein ye rafu kya hai
tujhe KHabar nahin majnun ki aabru kya hai
mujhe to aap ki aankhon ne kar diya sarshaar
mujhe KHabar hi nahin jam kya subu kya hai
na jaane hoga bhi donon mein ittifaq kabhi
mizaj-e-husn hai kya meri aarzu kya hai
majaz hai ki haqiqat sawab hai ki gunah
pata nahin ki ye duniya-e-rang-o-bu kya hai
lahu to wo hai jo uble shahid ki rag se
rag-e-gulu se na ubla to phir lahu kya hai
mujhe hai jurm-e-mohabbat ka e'tiraf 'uruj'
meri saza mein koi bahs-o-guftugu kya hai
baDe baDon ke qadam jis maqam par larzen
'uruj' tu hi bata us jagah pe tu kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.