tere darsan ki main hun sain mati
tire darsan kī maiñ huuñ sā.īñ maatī
muje laavo piyā chhātī suuñ chhātī
piyāre haat dhar sambhālo munj kuuñ
ki til til duutī tuj maatī Darātī
piram pyālā pilāvo munj kuuñ dam dam
ki tuuñ hai do jagat meñ munj sañgātī
na rākhūñ tuj nayan meñ rākhūñ dil meñ
ki tuuñ merā piyārā jiiv kā saatī
piyā ke dhyān suuñ maiñ mast huuñ mast
munje birhe ke bīnāñ kī sunātī
agar yak til paḌe antar piyā suuñ
nayan jal suuñ sapat samdar bharātī
nabī sadqe kahe 'qubtā' kī pyārī
rijhā dam dam adhar pyālā pilātī
tere darsan ki main hun sain mati
muje lawo piya chhati sun chhati
piyare hat dhar sambhaalo munj kun
ki til til duti tuj mati Daraati
piram pyala pilawo munj kun dam dam
ki tun hai do jagat mein munj sangati
na rakhun tuj nayan mein rakhun dil mein
ki tun mera piyara jiw ka sati
piya ke dhyan sun main mast hun mast
munje birhe ke binan ki sunati
agar yak til paDe antar piya sun
nayan jal sun sapat samdar bharaati
nabi sadqe kahe 'qubta' ki pyari
rijha dam dam adhar pyala pilati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.