tere didar ke sare marahil se zara pahle
tire dīdār ke saare marāhil se zarā pahle
karūñgā mashvara bhī badr-e-kāmil se zarā pahle
samundar paar karne kī ḳhushī meñ is qadar kuudā
ki kashtī ho ga.ī ġharqāb sāhil se zarā pahle
lagī aḳhbār kī surḳhī jo kānoñ meñ to jaag uTThā
kisī sūrat lagī thī aañkh mushkil se zarā pahle
mujhe āġhosh meñ lene se pahle kāñptā dariyā
pukārā hotā tum ne kaash sāhil se zarā pahle
ġhalat andāza thā ḳhargosh kā kachhve ke baare meñ
pahuñchnā hai pahuñch jā.eñge kāhil se zarā pahle
savāl-e-haq-parastī par ye bole hazrat-e-vā.is
nipaTne dījiye mujh ko to jāhil se zarā pahle
yaqīñ paiham jo hotā 'nazr' us kī pāsbānī kā
na rukte aap ke phir paañv sāhil se zarā pahle
tere didar ke sare marahil se zara pahle
karunga mashwara bhi badr-e-kaamil se zara pahle
samundar par karne ki KHushi mein is qadar kuda
ki kashti ho gai gharqab sahil se zara pahle
lagi aKHbar ki surKHi jo kanon mein to jag uTTha
kisi surat lagi thi aankh mushkil se zara pahle
mujhe aaghosh mein lene se pahle kanpta dariya
pukara hota tum ne kash sahil se zara pahle
ghalat andaza tha KHargosh ka kachhwe ke bare mein
pahunchna hai pahunch jaenge kahil se zara pahle
sawal-e-haq-parasti par ye bole hazrat-e-wais
nipaTne dijiye mujh ko to jahil se zara pahle
yaqin paiham jo hota 'nazr' us ki pasbani ka
na rukte aap ke phir panw sahil se zara pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.