tere diwane har rang rahe tere dhyan ki jot jagae hue
tire dīvāne har rañg rahe tire dhyān kī jot jagā.e hue
kabhī nithre suthre kapḌoñ meñ kabhī añg bhabhūt ramā.e hue
us raah se chhup chhup kar guzrī rut sabz sunahre phūloñ kī
jis raah pe tum kabhī nikle the ghabrā.e hue sharmā.e hue
ab tak hai vahī aalam dil kā vahī rañg-e-shafaq vahī tez havā
vahī saarā manzar jaadū kā mere nain se nain milā.e hue
chehre pe chamak āñkhoñ meñ hayā lab garm ḳhunuk chhab narm navā
jinheñ itne sukūn meñ dekhā thā vahī aaj mile ghabrā.e hue
ham ne 'mushtāq' yuuñ hī kholā yādoñ kī kitāb-e-muqaddas ko
kuchh kāġhaz nikle ḳhasta se kuchh phuul mile murjhā.e hue
tere diwane har rang rahe tere dhyan ki jot jagae hue
kabhi nithre suthre kapDon mein kabhi ang bhabhut ramae hue
us rah se chhup chhup kar guzri rut sabz sunahre phulon ki
jis rah pe tum kabhi nikle the ghabrae hue sharmae hue
ab tak hai wahi aalam dil ka wahi rang-e-shafaq wahi tez hawa
wahi sara manzar jadu ka mere nain se nain milae hue
chehre pe chamak aankhon mein haya lab garm KHunuk chhab narm nawa
jinhen itne sukun mein dekha tha wahi aaj mile ghabrae hue
hum ne 'mushtaq' yun hi khola yaadon ki kitab-e-muqaddas ko
kuchh kaghaz nikle KHasta se kuchh phul mile murjhae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.