tere dimagh se sara futur niklega
tire dimāġh se saarā futūr niklegā
mirī vafā kā natīja zarūr niklegā
na sar uThā ke chalo pattharoñ kī bastī meñ
lagegī Thes to saarā ġhurūr niklegā
tū hausle se añdhere kā sāmnā kariyo
isī añdhere ke pahlū se nuur niklegā
nizām-e-‘adl to mar'ūb mujrimoñ se hai
hameñ yaqīñ hai hamārā qusūr niklegā
haiñ chand roz kī mehmān uljhaneñ 'ālam'
tire sukūn kā sūraj zarūr niklegā
tere dimagh se sara futur niklega
meri wafa ka natija zarur niklega
na sar uTha ke chalo pattharon ki basti mein
lagegi Thes to sara ghurur niklega
tu hausle se andhere ka samna kariyo
isi andhere ke pahlu se nur niklega
nizam-e-‘adl to mar'ub mujrimon se hai
hamein yaqin hai hamara qusur niklega
hain chand roz ki mehman uljhanen 'alam'
tere sukun ka suraj zarur niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.