tere farq-e-naz pe taj hai mere dosh-e-gham pe galim hai
tire farq-e-nāz pe taaj hai mire dosh-e-ġham pe galīm hai
tirī dāstāñ bhī aziim hai mirī dāstāñ bhī aziim hai
mirī kitnī sochtī sub.hoñ ko ye ḳhayāl zahr pilā gayā
kisī tapte lamhe kī aah hai ki ḳhirām-e-mauj-e-nasīm hai
tah-e-ḳhāk kirmak-e-dāna jo bhī sharīk-e-raqs-e-hayāt hai
na bas ek jalva-e-tūr hai na bas ek shauq-e-kalīm hai
ye har ek samt masāfatoñ meñ guñdhī paḌī haiñ jo sā.ateñ
tirī zindagī mirī zindagī inhī mausamoñ kī shamīm hai
kahīñ mahmaloñ kā ġhubār uḌe kahīñ manziloñ ke diye jaleñ
ḳham-e-āsmāñ rah-e-kārvāñ na maqām hai na muqīm hai
haram aur dair fasāna hai yahī jaltī saañs zamāna hai
yahī gosha-e-dil-e-nā-subūr hī kunj-e-bāġh-e-na.īm hai
tere farq-e-naz pe taj hai mere dosh-e-gham pe galim hai
teri dastan bhi azim hai meri dastan bhi azim hai
meri kitni sochti subhon ko ye KHayal zahr pila gaya
kisi tapte lamhe ki aah hai ki KHiram-e-mauj-e-nasim hai
tah-e-KHak kirmak-e-dana jo bhi sharik-e-raqs-e-hayat hai
na bas ek jalwa-e-tur hai na bas ek shauq-e-kalim hai
ye har ek samt masafaton mein gundhi paDi hain jo saaten
teri zindagi meri zindagi inhi mausamon ki shamim hai
kahin mahmalon ka ghubar uDe kahin manzilon ke diye jalen
KHam-e-asman rah-e-karwan na maqam hai na muqim hai
haram aur dair fasana hai yahi jalti sans zamana hai
yahi gosha-e-dil-e-na-subur hi kunj-e-bagh-e-naim hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.