tere firaq ke lamhe shumar karte hue
tire firāq ke lamhe shumār karte hue
bikhar ga.e haiñ tirā intizār karte hue
tumheñ ḳhabar hī nahīñ hai ki koī TuuT gayā
mohabbatoñ ko bahut pā.edār karte hue
maiñ muskurātā huā aa.ine meñ ubharūñgā
vo ro paḌegī achānak siñghār karte hue
vo kah rahī thī samundar nahīñ haiñ āñkheñ haiñ
maiñ un meñ Duub gayā e'tibār karte hue
bhañvar jo mujh meñ paḌe haiñ vo maiñ hī jāntā huuñ
tumhāre hijr ke dariyā ko paar karte hue
tere firaq ke lamhe shumar karte hue
bikhar gae hain tera intizar karte hue
tumhein KHabar hi nahin hai ki koi TuT gaya
mohabbaton ko bahut paedar karte hue
main muskuraata hua aaine mein ubharunga
wo ro paDegi achanak singhaar karte hue
wo kah rahi thi samundar nahin hain aankhen hain
main un mein Dub gaya e'tibar karte hue
bhanwar jo mujh mein paDe hain wo main hi jaanta hun
tumhaare hijr ke dariya ko par karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.