tere firaq mein jab dil niDhaal hota hai
tire firāq meñ jab dil niDhāl hotā hai
sukūñ kī saañs bhī lenā muhāl hotā hai
bichhaḌ ke koī kisī se kabhī nahīñ martā
magar judā.ī kā sab ko malāl hotā hai
tumhārī yaad meñ girte haiñ mere dāman par
in āñsuoñ ko chhupānā muhāl hotā hai
nazar milā ke jhukātā hai jab nazar koī
na pūchho dosto kyā dil kā haal hotā hai
na kar ġhurūr bulandī kā ai haqīr insāñ
har ek 'urūj ko aksar zavāl hotā hai
kabhī vo dekh leñ ai kaash dard-e-dil kī kitāb
har ek lafz meñ tīkhā savāl hotā hai
tere firaq mein jab dil niDhaal hota hai
sukun ki sans bhi lena muhaal hota hai
bichhaD ke koi kisi se kabhi nahin marta
magar judai ka sab ko malal hota hai
tumhaari yaad mein girte hain mere daman par
in aansuon ko chhupana muhaal hota hai
nazar mila ke jhukata hai jab nazar koi
na puchho dosto kya dil ka haal hota hai
na kar ghurur bulandi ka ai haqir insan
har ek 'uruj ko aksar zawal hota hai
kabhi wo dekh len ai kash dard-e-dil ki kitab
har ek lafz mein tikha sawal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.