tere gale mein jo banhon ko Dal rakhte hain
tire gale meñ jo bāñhoñ ko Daal rakhte haiñ
tujhe manāne kā kaisā kamāl rakhte haiñ
tujhe ḳhabar hai tujhe sochne kī ḳhātir ham
bahut se kaam muqaddar pe Taal rakhte haiñ
koī bhī faisla ham soch kar nahīñ karte
tumhāre naam kā sikka uchhāl rakhte haiñ
tumhāre ba.ad ye aadat sī ho ga.ī apnī
bikharte sūkhte patte sambhāl rakhte haiñ
ḳhushī sī miltī hai ḳhud ko aziyyateñ de kar
so jān-būjh ke dil ko niDhāl rakhte haiñ
kabhī kabhī vo mujhe hañs ke dekh lete haiñ
kabhī kabhī mirā behad ḳhayāl rakhte haiñ
tumhāre hijr meñ ye haal ho gayā apnā
kisī kā ḳhat ho use bhī sambhāl rakhte haiñ
ḳhushī mile to tire ba.ad ḳhush nahīñ hote
ham apnī aañkh meñ har-dam malāl rakhte haiñ
zamāne-bhar se bachā kar vo apne āñchal meñ
mire vajūd ke TukḌe sambhāl rakhte haiñ
kuchh is liye bhī to behāl ho ga.e ham log
tumhārī yaad kā behad ḳhayāl rakhte haiñ
tere gale mein jo banhon ko Dal rakhte hain
tujhe manane ka kaisa kamal rakhte hain
tujhe KHabar hai tujhe sochne ki KHatir hum
bahut se kaam muqaddar pe Tal rakhte hain
koi bhi faisla hum soch kar nahin karte
tumhaare nam ka sikka uchhaal rakhte hain
tumhaare baad ye aadat si ho gai apni
bikharte sukhte patte sambhaal rakhte hain
KHushi si milti hai KHud ko aziyyaten de kar
so jaan-bujh ke dil ko niDhaal rakhte hain
kabhi kabhi wo mujhe hans ke dekh lete hain
kabhi kabhi mera behad KHayal rakhte hain
tumhaare hijr mein ye haal ho gaya apna
kisi ka KHat ho use bhi sambhaal rakhte hain
KHushi mile to tere baad KHush nahin hote
hum apni aankh mein har-dam malal rakhte hain
zamane-bhar se bacha kar wo apne aanchal mein
mere wajud ke TukDe sambhaal rakhte hain
kuchh is liye bhi to behaal ho gae hum log
tumhaari yaad ka behad KHayal rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.