tere gham mein jo sulgi ja rahi hai
tire ġham meñ jo sulgī jā rahī hai
mujhe cigarette vo piitī jā rahī hai
manāyā jā rahā hai ġham tumhārā
purānī film dekhī jā rahī hai
jo dp lag ga.ī number pe tere
vo sub.h-o-shām dekhī jā rahī hai
jahāñ bātoñ meñ kaTnī chāhiye thī
vahāñ par baat kaaTī jā rahī hai
nigāhoñ se vo ojhal ho rahā hai
koī gaaḌī hai chhūTī jā rahī hai
tire kūche kī miTTī bā-vafā hai
mire pairoñ se lipTī jā rahī hai
nayā canvas lagā Daalā hai dil meñ
na.ī tasvīr sochī jā rahī hai
tere gham mein jo sulgi ja rahi hai
mujhe cigarette wo piti ja rahi hai
manaya ja raha hai gham tumhaara
purani film dekhi ja rahi hai
jo dp lag gai number pe tere
wo subh-o-sham dekhi ja rahi hai
jahan baaton mein kaTni chahiye thi
wahan par baat kaTi ja rahi hai
nigahon se wo ojhal ho raha hai
koi gaDi hai chhuTi ja rahi hai
tere kuche ki miTTi ba-wafa hai
mere pairon se lipTi ja rahi hai
naya canwas laga Dala hai dil mein
nai taswir sochi ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.