tere har ek sitam ka hisab utrega
tire har ek sitam kā hisāb utregā
ḳhudā kā tujh pe sitamgar azaab utregā
bahut ġhurūr hai tujh ko abhī javānī par
kabhī to terā ye rañg-o-shabāb utregā
sitam hadoñ se baḌhegā to āsmāñ se koī
sitamgaroñ ko vo dene javāb utregā
haqīr mujh ko samajhtā hai tū are nādāñ
maiñ Thaan luuñ to abhī āftāb utregā
baḌhegā zulm hadoñ se jab is zamāne meñ
yaqīn maano koī inqalāb utregā
lagegī aag chaman meñ 'qamar' to hogā dukh
dhuāñ uThegā to āñkhoñ meñ aab utregā
tere har ek sitam ka hisab utrega
KHuda ka tujh pe sitamgar azab utrega
bahut ghurur hai tujh ko abhi jawani par
kabhi to tera ye rang-o-shabab utrega
sitam hadon se baDhega to aasman se koi
sitamgaron ko wo dene jawab utrega
haqir mujh ko samajhta hai tu are nadan
main Than lun to abhi aaftab utrega
baDhega zulm hadon se jab is zamane mein
yaqin mano koi inqalab utrega
lagegi aag chaman mein 'qamar' to hoga dukh
dhuan uThega to aankhon mein aab utrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.