tere hasad ke muqabil koi safai nahin
tire hasad ke muqābil koī safā.ī nahīñ
tū chhoTā shaḳhs hai tujh se merī laḌā.ī nahīñ
vahī libās vahī hāv-hū vahī maiñ huuñ
tumhāre baa'd kisī ne hañsī uḌaa.ī nahīñ
charāġh bujhne se pahle sahar banāte haiñ
ye apnā diin hai sāhab sunī-sunā.ī nahīñ
ġhilāf khol agar aag dekhnī hai tujhe
ye ek aag jo maiñ ne bhī āzmā.ī nahīñ
palaTne detā nahīñ huuñ maiñ us kī āvāzeñ
ye merī ḳhasta-tanī hai gurez-pā.ī nahīñ
tere hasad ke muqabil koi safai nahin
tu chhoTa shaKHs hai tujh se meri laDai nahin
wahi libas wahi haw-hu wahi main hun
tumhaare ba'd kisi ne hansi uDai nahin
charagh bujhne se pahle sahar banate hain
ye apna din hai sahab suni-sunai nahin
ghilaf khol agar aag dekhni hai tujhe
ye ek aag jo main ne bhi aazmai nahin
palaTne deta nahin hun main us ki aawazen
ye meri KHasta-tani hai gurez-pai nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.