tere hijr ne ata ki ye ajib be-qarari
tire hijr ne atā kī ye ajiib be-qarārī
na sakat hai zabt-e-ġham kī na majāl-e-ashk-bārī
mire somnāt-e-dil par saf-e-ġhaznavī se baḌh kar
tirī shabnamī adā.eñ tirā tarz-e-ġham-gusārī
maiñ kahāñ huuñ aur kyā huuñ tū kahāñ hai aur kyā hai
isī justujū meñ guzrī kabhī raat saarī saarī
ye satīza-gāh-e-ālam ye harīf-e-zulf-e-barham
na junūn-e-fitna-sāmāñ na ḳhirad kī hoshiyārī
tū mirī nazar meñ kāfir maiñ tirī nazar meñ kāfir
maiñ asīr-e-zulf-e-jānāñ tū harīs-e-shahryārī
mirī ḳhushk kisht-e-dil par tire lafz barq-e-muztar
ki dhuāñ dhadhak na jaa.e tirī tohmatoñ pe vaarī
ye mujāvirān-e-kā'ba inheñ kyā huā ḳhudāyā
tire dostoñ se nafrat tire dushmanoñ se yaarī
koī rustamī se kah de koī marhabī se kah de
maiñ ġhulām-e-mustafā huuñ mirā shauq jāñ-nisārī
hai bayān-e-hāl-e-gulshan ye jale jale nasheman
ye ghuTī-ghuTī fazā.eñ ye guloñ kī āh-o-zārī
ai ġhurūr-e-banda-parvar tujhe ho jo ḳhauf-e-mahshar
to sarīr-e-saltanat bhī hai kulāh-e-ḳhārdārī
rah-e-zindagī meñ 'bazmī' ye matā-e-dil kī baazī
kabhī rahzanoñ se haarī kabhī rahbaroñ se haarī
tere hijr ne ata ki ye ajib be-qarari
na sakat hai zabt-e-gham ki na majal-e-ashk-bari
mere somnat-e-dil par saf-e-ghaznawi se baDh kar
teri shabnami adaen tera tarz-e-gham-gusari
main kahan hun aur kya hun tu kahan hai aur kya hai
isi justuju mein guzri kabhi raat sari sari
ye satiza-gah-e-alam ye harif-e-zulf-e-barham
na junun-e-fitna-saman na KHirad ki hoshiyari
tu meri nazar mein kafir main teri nazar mein kafir
main asir-e-zulf-e-jaanan tu haris-e-shahryari
meri KHushk kisht-e-dil par tere lafz barq-e-muztar
ki dhuan dhadhak na jae teri tohmaton pe wari
ye mujaviran-e-ka'ba inhen kya hua KHudaya
tere doston se nafrat tere dushmanon se yari
koi rustami se kah de koi marhabi se kah de
main ghulam-e-mustafa hun mera shauq jaan-nisari
hai bayan-e-haal-e-gulshan ye jale jale nasheman
ye ghuTi-ghuTi fazaen ye gulon ki aah-o-zari
ai ghurur-e-banda-parwar tujhe ho jo KHauf-e-mahshar
to sarir-e-saltanat bhi hai kulah-e-KHardari
rah-e-zindagi mein 'bazmi' ye mata-e-dil ki bazi
kabhi rahzanon se haari kabhi rahbaron se haari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.