Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha

Aitbar Sajid

tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    tire jaisā merā bhī haal thā na sukūn thā na qarār thā

    yahī 'umr thī mire ham-nashīñ ki kisī se mujh ko bhī pyaar thā

    maiñ samajh rahā huuñ tirī kasak tirā merā dard hai mushtarak

    isī ġham bhī asiir hai isī dukh maiñ bhī shikār thā

    faqat ek dhun thī ki rāt-din isī ḳhvāb-zār meñ gum raheñ

    vo surūr aisā surūr thā vo ḳhumār aisā ḳhumār thā

    kabhī lamha-bhar bhī guftugū mirī us ke saath na ho sakī

    mujhe fursateñ nahīñ mil sakīñ vo havā ke rath pe savār thā

    ham 'ajīb tarz ke log the ki hamāre aur rog the

    maiñ ḳhizāñ meñ us thā muntazir use intizār-e-bahār thā

    use paḌh ke tum na samajh sake ki mirī kitāb ke ruup meñ

    koī qarz thā ka.ī saal ka.ī rat-jagoñ udhār thā

    tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha

    yahi 'umr thi mere ham-nashin ki kisi se mujh ko bhi pyar tha

    main samajh raha hun teri kasak tera mera dard hai mushtarak

    isi gham ka tu bhi asir hai isi dukh ka main bhi shikar tha

    faqat ek dhun thi ki raat-din isi KHwab-zar mein gum rahen

    wo surur aisa surur tha wo KHumar aisa KHumar tha

    kabhi lamha-bhar ki bhi guftugu meri us ke sath na ho saki

    mujhe fursaten nahin mil sakin wo hawa ke rath pe sawar tha

    hum 'ajib tarz ke log the ki hamare aur hi rog the

    main KHizan mein us ka tha muntazir use intizar-e-bahaar tha

    use paDh ke tum na samajh sake ki meri kitab ke rup mein

    koi qarz tha kai sal ka kai rat-jagon ka udhaar tha

    Source :
    • Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 19)
    • Author : Aitabar Sajid
    • Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009)
    • Edition : 2007,2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now