Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere jalwon ka wo aalam nahin hai

Sabir Abuhari

tere jalwon ka wo aalam nahin hai

Sabir Abuhari

MORE BYSabir Abuhari

    tire jalvoñ vo aalam nahīñ hai

    shu.ūr-e-dīd varna kam nahīñ hai

    nizām-e-zindagī hai muntashir

    mizāj-e-yār to barham nahīñ hai

    kabhī lazzat-kash-e-rāhat na hoñge

    mayassar jin ko terā ġham nahīñ hai

    diyā hai ġham zamāne bhar mujh ko

    ināyat ye bhī terī kam nahīñ hai

    hameñ ummīd ho kyoñ kar karam

    sitam bhī jab tirā paiham nahīñ hai

    navāzish ho ga.ī jis par junūñ

    use duniyā meñ koī ġham nahīñ hai

    mayassar hai tirī āñkhoñ mastī

    mujhe saudā-e-jām-e-jam nahīñ hai

    salīqa ho agar jiine 'sābir'

    hayāt-e-chand-roza kam nahīñ hai

    tere jalwon ka wo aalam nahin hai

    shuur-e-did warna kam nahin hai

    nizam-e-zindagi hai muntashir sa

    mizaj-e-yar to barham nahin hai

    kabhi lazzat-kash-e-rahat na honge

    mayassar jin ko tera gham nahin hai

    diya hai gham zamane bhar ka mujh ko

    inayat ye bhi teri kam nahin hai

    hamein ummid ho kyon kar karam ki

    sitam bhi jab tera paiham nahin hai

    nawazish ho gai jis par junun ki

    use duniya mein koi gham nahin hai

    mayassar hai teri aankhon ki masti

    mujhe sauda-e-jam-e-jam nahin hai

    saliqa ho agar jine ka 'sabir'

    hayat-e-chand-roza kam nahin hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now