tere jalwon ka wo aalam nahin hai
tire jalvoñ kā vo aalam nahīñ hai
shu.ūr-e-dīd varna kam nahīñ hai
nizām-e-zindagī hai muntashir sā
mizāj-e-yār to barham nahīñ hai
kabhī lazzat-kash-e-rāhat na hoñge
muyassar jin ko terā ġham nahīñ hai
diyā hai ġham zamāne bhar kā mujh ko
ināyat ye bhī terī kam nahīñ hai
hameñ ummīd ho kyūñkar karam kī
sitam bhī jab tirā paiham nahīñ hai
navāzish ho ga.ī jis par junūñ kī
use duniyā meñ koī ġham nahīñ hai
muyassar hai tirī āñkhoñ kī mastī
mujhe saudā-e-jām-e-jam nahīñ hai
salīqa ho agar jiine kā 'sābir'
hayāt-e-chand-roza kam nahīñ hai
tere jalwon ka wo aalam nahin hai
shuur-e-did warna kam nahin hai
nizam-e-zindagi hai muntashir sa
mizaj-e-yar to barham nahin hai
kabhi lazzat-kash-e-rahat na honge
muyassar jin ko tera gham nahin hai
diya hai gham zamane bhar ka mujh ko
inayat ye bhi teri kam nahin hai
hamein ummid ho kyunkar karam ki
sitam bhi jab tera paiham nahin hai
nawazish ho gai jis par junun ki
use duniya mein koi gham nahin hai
muyassar hai teri aankhon ki masti
mujhe sauda-e-jam-e-jam nahin hai
saliqa ho agar jine ka 'sabir'
hayat-e-chand-roza kam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.