tere jamal ki zinat meri talab se hai
tire jamāl kī zīnat mirī talab se hai
mirī hayāt meñ ḳhushbū tire sabab se hai
numūd-e-ishq-e-karam se kabhī ġhazab se hai
ḳhumār-e-chashm se hai sho.ala-hā-e-lab se hai
kise dimāġh sar-e-rāh un se baat kare
diloñ meñ ek ḳhalish ḳhūbī-e-adab se hai
qadam ruke haiñ kisī shoḳh ajnabī ke liye
ye zauq-e-dīd bhī kuchh tere zulf-o-lab se hai
junūn-e-ishq se iz.hār-e-āshiqī mālūm
kise ḳhabar ki koī mahv-e-nāz kab se hai
ye ehtiyāt-e-mohabbat ki us sanam ke sivā
jahāñ meñ rasm-e-payām-o-salām sab se hai
ham ahl-e-dil haiñ bahut be-niyāz-e-ġham 'saifī'
ye tāb-e-zīst usī mahfil-e-tarab se hai
tere jamal ki zinat meri talab se hai
meri hayat mein KHushbu tere sabab se hai
numud-e-ishq-e-karam se kabhi ghazab se hai
KHumar-e-chashm se hai shoala-ha-e-lab se hai
kise dimagh sar-e-rah un se baat kare
dilon mein ek KHalish KHubi-e-adab se hai
qadam ruke hain kisi shoKH ajnabi ke liye
ye zauq-e-did bhi kuchh tere zulf-o-lab se hai
junun-e-ishq se izhaar-e-ashiqi malum
kise KHabar ki koi mahw-e-naz kab se hai
ye ehtiyat-e-mohabbat ki us sanam ke siwa
jahan mein rasm-e-payam-o-salam sab se hai
hum ahl-e-dil hain bahut be-niyaz-e-gham 'saifi'
ye tab-e-zist usi mahfil-e-tarab se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.