tere jazbon ki garmi mein kami mahsus hoti hai
tire jazboñ kī garmī meñ kamī mahsūs hotī hai
ho tabdīlī koī bhī lāzmī mahsūs hotī hai
mirī dhaḌkan ke rauzan se sadā aatī hai nauhoñ kī
mujhe duniyā hī saarī mātamī mahsūs hotī hai
na-jāne kyoñ mire gāloñ pe do aañsū phisal aa.e
ki ab saarī fazā hī shabnamī mahsūs hotī hai
bichhī hai har taraf sabze kī jaise reshmī chādar
nigāhoñ ko har ik shai reshmī mahsūs hotī hai
kisī mahfil meñ koī jab tumhārā naam letā hai
na-jāne kyoñ mujhe dhaḌkan thamī mahsūs hotī hai
tire chhūne se bhī mujh par asar hotā nahīñ koī
badan meñ barf sī ab to jamī mahsūs hotī hai
tere jazbon ki garmi mein kami mahsus hoti hai
ho tabdili koi bhi lazmi mahsus hoti hai
meri dhaDkan ke rauzan se sada aati hai nauhon ki
mujhe duniya hi sari matami mahsus hoti hai
na-jaane kyon mere galon pe do aansu phisal aae
ki ab sari faza hi shabnami mahsus hoti hai
bichhi hai har taraf sabze ki jaise reshmi chadar
nigahon ko har ek shai reshmi mahsus hoti hai
kisi mahfil mein koi jab tumhaara nam leta hai
na-jaane kyon mujhe dhaDkan thami mahsus hoti hai
tere chhune se bhi mujh par asar hota nahin koi
badan mein barf si ab to jami mahsus hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.