tere karam se KHudai mein yun to kya na mila
tire karam se ḳhudā.ī meñ yuuñ to kyā na milā
magar jo tū na milā ziist kā mazā na milā
hayāt-e-shauq kī ye garmiyāñ kahāñ hotīñ
ḳhudā kā shukr hameñ nāla-e-rasā na milā
azal se fitrat-e-āzād hī thī āvāra
ye kyuuñ kaheñ ki hameñ koī rahnumā na milā
ye kā.enāt kisī kā ġhubār-e-rāh sahī
dalīl-e-rāh jo bantā vo naqsh-e-pā na milā
ye dil shahīd-e-fareb-e-nigāh ho na sakā
vo laakh ham se ba-andāz-e-mahramāna milā
kanār-e-mauj meñ marnā to ham ko aatā hai
nishān-e-sāhil-e-ulfat milā milā na milā
tirī talāsh hī thī māya-e-baqā-e-vajūd
balā se ham ko sar-e-manzil-e-baqā na milā
tere karam se KHudai mein yun to kya na mila
magar jo tu na mila zist ka maza na mila
hayat-e-shauq ki ye garmiyan kahan hotin
KHuda ka shukr hamein nala-e-rasa na mila
azal se fitrat-e-azad hi thi aawara
ye kyun kahen ki hamein koi rahnuma na mila
ye kaenat kisi ka ghubar-e-rah sahi
dalil-e-rah jo banta wo naqsh-e-pa na mila
ye dil shahid-e-fareb-e-nigah ho na saka
wo lakh hum se ba-andaz-e-mahramana mila
kanar-e-mauj mein marna to hum ko aata hai
nishan-e-sahil-e-ulfat mila mila na mila
teri talash hi thi maya-e-baqa-e-wajud
bala se hum ko sar-e-manzil-e-baqa na mila
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 96)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.