tere KHayal ki jannat mein kho gaya hun main
tire ḳhayāl kī jannat meñ kho gayā huuñ maiñ
ab apne aap ko rah rah ke DhūñDhtā huuñ maiñ
hujūm-e-shorish-e-jalva se āshnā huuñ maiñ
ik ajnabī sā alag duur jā khaḌā huuñ maiñ
harīm-e-nāz meñ be-vaqt aa gayā ye bajā
huzūr socheñ to kyā koī dūsrā huuñ maiñ
shab-e-firāq meñ ik aas le ke va.adoñ kī
charāġh-e-ashk liye raah par khaḌā huuñ maiñ
tashaddud ġham-e-hastī vo de ke sab naġhme
'ḳhalīl' aaj to ik sāz-e-be-sadā huuñ maiñ
tere KHayal ki jannat mein kho gaya hun main
ab apne aap ko rah rah ke DhunDhta hun main
hujum-e-shorish-e-jalwa se aashna hun main
ek ajnabi sa alag dur ja khaDa hun main
harim-e-naz mein be-waqt aa gaya ye baja
huzur sochen to kya koi dusra hun main
shab-e-firaq mein ek aas le ke wadon ki
charagh-e-ashk liye rah par khaDa hun main
tashaddud gham-e-hasti wo de ke sab naghme
'KHalil' aaj to ek saz-e-be-sada hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.