tere KHayal se aankhen milane wali hun
tire ḳhayāl se āñkheñ milāne vaalī huuñ
na.e sarūp kā jaadū jagāne vaalī huuñ
maiñ saiñt saiñt ke rakkhe hue lihāfoñ se
tumhāre lams kī garmī churāne vaalī huuñ
use jo dhuup liye dil ke gaañv meñ utrā
rahaT se chaah kā paanī pilāne vaalī huuñ
kaho ki chhāñv mirī ḳhud sameT le aa kar
maiñ ab ghaTā kā prānda hilāne vaalī huuñ
jahāñ pe aam kī guThlī dabī thī bhūbal meñ
vahīñ pe apne dukhoñ ko tapāne vaalī huuñ
is alganī pe akele larazte qatre ko
banā ke 'naināñ' maiñ surma lagāne vaalī huuñ
tere KHayal se aankhen milane wali hun
nae sarup ka jadu jagane wali hun
main saint saint ke rakkhe hue lihafon se
tumhaare lams ki garmi churane wali hun
use jo dhup liye dil ke ganw mein utra
rahaT se chah ka pani pilane wali hun
kaho ki chhanw meri KHud sameT le aa kar
main ab ghaTa ka pranda hilane wali hun
jahan pe aam ki guThli dabi thi bhubal mein
wahin pe apne dukhon ko tapane wali hun
is algani pe akele larazte qatre ko
bana ke 'nainan' main surma lagane wali hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.