tere KHayal, tere KHwab, tere nam ke sath
tire ḳhayāl, tire ḳhvāb, tere naam ke saath
banī hai ḳhaak mirī kitne ehtimām ke saath
bahut se phuul the aur saare achchhe rangoñ ke
sabā ne bheje the jo kal tire payām ke saath
nazar Thahartī na thī us pe aur ḳhud par bhī
maiñ aa.ine meñ thī kal ek lāla-fām ke saath
tire ḳhayāl se raushan hai sar-zamīn-e-suḳhan
ki jaise zīnat-e-shab ho mah-e-tamām ke saath
phir aa ga.ī hai mire dar pe kyā vahī duniyā?
maiñ kar ke aa.ī thī ruḳhsat jise salām ke saath
sunā hai phuul jhaḌe the jahāñ tire lab se
vahāñ bahār utartī hai roz shaam ke saath
ḳhushī ke vāste kab koī din muqarrar thā
magar ye dil meñ rukī hai tire ḳhirām ke saath
tere KHayal, tere KHwab, tere nam ke sath
bani hai KHak meri kitne ehtimam ke sath
bahut se phul the aur sare achchhe rangon ke
saba ne bheje the jo kal tere payam ke sath
nazar Thaharti na thi us pe aur KHud par bhi
main aaine mein thi kal ek lala-fam ke sath
tere KHayal se raushan hai sar-zamin-e-suKHan
ki jaise zinat-e-shab ho mah-e-tamam ke sath
phir aa gai hai mere dar pe kya wahi duniya?
main kar ke aai thi ruKHsat jise salam ke sath
suna hai phul jhaDe the jahan tere lab se
wahan bahaar utarti hai roz sham ke sath
KHushi ke waste kab koi din muqarrar tha
magar ye dil mein ruki hai tere KHiram ke sath
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 15.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.