tere KHulus ke qisse suna raha hun main
tire ḳhulūs ke qisse sunā rahā huuñ maiñ
purānā qarz hai ab tak chukā rahā huuñ maiñ
ḳhudā kare ki vahī baat us ke dil meñ ho
jo baat kahne kī himmat juTā rahā huuñ maiñ
safar kahāñ se kahāñ tak pahuñch gayā merā
ruke jo paañv to kāñdhoñ pe jā rahā huuñ maiñ
samā'atoñ ke sabhī dar yahāñ muqaffal haiñ
na jaane kab se sadā.eñ lagā rahā huuñ maiñ
lagā huuñ aaj hifāzat meñ ḳhud charāġhoñ kī
ka.ī dinoñ to muḳhālif havā rahā huuñ maiñ
ye 'aql hosh, nazar, ḳhvāb, lams, goyā.ī
lo aaj daav pe sab kuchh lagā rahā huuñ maiñ
ki jab bhī chāheñ unheñ DhūñD leñ mirī āñkheñ
is ehtiyāt se manzar sajā rahā huuñ maiñ
mire baġhair koī tum ko DhūñDtā kaise
tumheñ pata hai tumhārā pata rahā huuñ maiñ
tere KHulus ke qisse suna raha hun main
purana qarz hai ab tak chuka raha hun main
KHuda kare ki wahi baat us ke dil mein ho
jo baat kahne ki himmat juTa raha hun main
safar kahan se kahan tak pahunch gaya mera
ruke jo panw to kandhon pe ja raha hun main
sama'aton ke sabhi dar yahan muqaffal hain
na jaane kab se sadaen laga raha hun main
laga hun aaj hifazat mein KHud charaghon ki
kai dinon to muKHalif hawa raha hun main
ye 'aql hosh, nazar, KHwab, lams, goyai
lo aaj daw pe sab kuchh laga raha hun main
ki jab bhi chahen unhen DhunD len meri aankhen
is ehtiyat se manzar saja raha hun main
mere baghair koi tum ko DhunDta kaise
tumhein pata hai tumhaara pata raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.