tere mizaj tere KHulq teri KHu mein raha
tire mizāj tire ḳhulq terī ḳhū meñ rahā
ye inkisār tirī zaat meñ lahū meñ rahā
ḳhamoshiyoñ se haiñ zāhir matānateñ jo tirī
tirā salīqa ayaañ tirī guftugū meñ rahā
maiñ ḳhud ko kho ke tujhe pā liyā zahe qismat
zamāna saarā yahāñ terī justujū meñ rahā
bahakte dil meñ rahā tere husn kā vo surūr
ḳhumār-e-ishq mirī ruuh ke subū meñ rahā
chaman meñ kaliyāñ haiñ ranjīda aur ḳhaufzada
malāl-o-huzn bhī phūloñ ke rang-o-bū meñ rahā
tere mizaj tere KHulq teri KHu mein raha
ye inkisar teri zat mein lahu mein raha
KHamoshiyon se hain zahir matanaten jo teri
tera saliqa ayan teri guftugu mein raha
main KHud ko kho ke tujhe pa liya zahe qismat
zamana sara yahan teri justuju mein raha
bahakte dil mein raha tere husn ka wo surur
KHumar-e-ishq meri ruh ke subu mein raha
chaman mein kaliyan hain ranjida aur KHaufzada
malal-o-huzn bhi phulon ke rang-o-bu mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.