tere pas rah kar sanwar jaunga main
tire paas rah kar sañvar jā.ūñgā maiñ
judā ho ke tujh se bikhar jā.ūñgā maiñ
zarā sochne de maiñ uThne se pahle
tire dar se uTh kar kidhar jā.ūñgā maiñ
tire saath jiine kī ummīd lekin
tirā saath na ho to mar jā.ūñgā maiñ
tire pyaar ke saa.e meñ chand lamhe
zarā jī to luuñ phir guzar jā.ūñgā maiñ
simaT kar hī rahne de āñchal se tere
tū jhuTlā.e to chashm-e-tar jā.ūñgā maiñ
na hargiz chalūñgā kisī rahguzar se
tū roke agar to Thahar jā.ūñgā maiñ
tire pyaar meñ zaḳhm khā khā ke ik din
ki āġhosh-e-ġham meñ utar jā.ūñgā maiñ
'nisār' ishq kī aag meñ jal rahā huuñ
pata hai ki ik din nikhar jā.ūñgā maiñ
tere pas rah kar sanwar jaunga main
juda ho ke tujh se bikhar jaunga main
zara sochne de main uThne se pahle
tere dar se uTh kar kidhar jaunga main
tere sath jine ki ummid lekin
tera sath na ho to mar jaunga main
tere pyar ke sae mein chand lamhe
zara ji to lun phir guzar jaunga main
simaT kar hi rahne de aanchal se tere
tu jhuTlae to chashm-e-tar jaunga main
na hargiz chalunga kisi rahguzar se
tu roke agar to Thahar jaunga main
tere pyar mein zaKHm kha kha ke ek din
ki aaghosh-e-gham mein utar jaunga main
'nisar' ishq ki aag mein jal raha hun
pata hai ki ek din nikhar jaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.