Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere qarib bhi dil kuchh bujha sa rahta hai

Mumtaz Mirza

tere qarib bhi dil kuchh bujha sa rahta hai

Mumtaz Mirza

MORE BYMumtaz Mirza

    tire qarīb bhī dil kuchh bujhā rahtā hai

    ġham-e-firāq khaTkā lagā rahtā hai

    na jaane kab nigah-e-bāġhbāñ badal jaa.e

    har aan phūloñ ko dhaḌkā lagā rahtā hai

    hazāroñ chāñd sitāre nikal ke Duub ga.e

    nagar meñ dil ke sadā jhuTpuTā rahtā hai

    tumhāre dam se haiñ tanhā.iyāñ bhī bazm-e-nashāt

    tumhārī yādoñ ik jamghaTā rahtā hai

    vo ik nigāh ki mafhūm jis ke lākhoñ haiñ

    usī nigāh ik aasrā rahtā hai

    tumhāre ishq ne 'mumtāz' kar diyā dil ko

    ye sab se mil ke bhī sab se judā rahtā hai

    tere qarib bhi dil kuchh bujha sa rahta hai

    gham-e-firaq ka khaTka laga sa rahta hai

    na jaane kab nigah-e-baghban badal jae

    har aan phulon ko dhaDka laga sa rahta hai

    hazaron chand sitare nikal ke Dub gae

    nagar mein dil ke sada jhuTpuTa sa rahta hai

    tumhaare dam se hain tanhaiyan bhi bazm-e-nashat

    tumhaari yaadon ka ek jamghaTa sa rahta hai

    wo ek nigah ki mafhum jis ke lakhon hain

    usi nigah ka ek aasra sa rahta hai

    tumhaare ishq ne 'mumtaz' kar diya dil ko

    ye sab se mil ke bhi sab se juda sa rahta hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now