tire ruḳh kā kise saudā nahīñ hai
gul-e-lāla talak sahrā-nashīñ hai
phirā hai aap vo mah-rū hamārā
tirā ai āsmāñ shikva nahīñ hai
kahīñ aisā na ho uTThe na talvār
yahī Dar hai ki qātil nāznīñ hai
na pūchho mere aañsū tum na pūchho
kahegā koī tum ko ḳhosha-chīñ hai
adab se pā-barahna phirte haiñ ham
junūñ farsh-e-ilāhī ye zamīñ hai
burā sab dushmanoñ kā chāhte haiñ
maiñ ḳhush huuñ jaise dil andoh-gīñ hai
rahe mazmūn-e-ġham kī tarah is meñ
hamārā ghar hai yā bait-e-hazīñ hai
jahāñ hai jalva-gar vo ġhairat-e-māh
ilāhī āsmāñ hai yā zamīñ hai
banāyā tujh ko aisā ḳhūbsūrat
ki nāzāñ tujh pe sūrat-āfrīñ hai
haiñ ishq-e-zulf meñ a.azā bhī dushman
hamārā haath mār-e-āstīñ hai
na niklā be tire maiñ ghar se bāhar
nigah tak chashm meñ ḳhalvat-nashīñ hai
falak jo chāhe ham par zulm kar le
abhī to zabt-e-āh-e-ātishīñ hai
paḌā hai tafraqa be-tābiyoñ se
'vazīr' ab maiñ kahīñ huuñ dil kahīñ hai
tere ruKH ka kise sauda nahin hai
gul-e-lala talak sahra-nashin hai
phira hai aap wo mah-ru hamara
tera ai aasman shikwa nahin hai
kahin aisa na ho uTThe na talwar
yahi Dar hai ki qatil naznin hai
na puchho mere aansu tum na puchho
kahega koi tum ko KHosha-chin hai
adab se pa-barahna phirte hain hum
junun farsh-e-ilahi ye zamin hai
bura sab dushmanon ka chahte hain
main KHush hun jaise dil andoh-gin hai
rahe mazmun-e-gham ki tarah is mein
hamara ghar hai ya bait-e-hazin hai
jahan hai jalwa-gar wo ghairat-e-mah
ilahi aasman hai ya zamin hai
banaya tujh ko aisa KHubsurat
ki nazan tujh pe surat-afrin hai
hain ishq-e-zulf mein aaza bhi dushman
hamara hath mar-e-astin hai
na nikla be tere main ghar se bahar
nigah tak chashm mein KHalwat-nashin hai
falak jo chahe hum par zulm kar le
abhi to zabt-e-ah-e-atishin hai
paDa hai tafraqa be-tabiyon se
'wazir' ab main kahin hun dil kahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.