tere sanche mein Dhalta ja raha hun
tire sāñche meñ Dhaltā jā rahā huuñ
tujhe bhī kuchh badaltā jā rahā huuñ
na jaane tujh ko bhūlā huuñ ki ḳhud ko
bahar-sūrat sañbhaltā jā rahā huuñ
tabī'at hai abhī tiflāna merī
khilaunoñ se bahaltā jā rahā huuñ
haqīqat ko mukammal dekhnā hai
nazar ke ruḳh badaltā jā rahā huuñ
chalā hai mujh se aage merā saaya
so maiñ bhī saath chaltā jā rahā huuñ
ye chāhā thā ki patthar ban ke jī luuñ
so andar se pighaltā jā rahā huuñ
bahut nāzāñ huuñ mahrūmī pe apnī
isī par haath miltā jā rahā huuñ
kisī kā vā'da-e-fardā nahīñ maiñ
tū kyuuñ fardā pe Taltā jā rahā huuñ
tere sanche mein Dhalta ja raha hun
tujhe bhi kuchh badalta ja raha hun
na jaane tujh ko bhula hun ki KHud ko
bahar-surat sanbhalta ja raha hun
tabi'at hai abhi tiflana meri
khilaunon se bahalta ja raha hun
haqiqat ko mukammal dekhna hai
nazar ke ruKH badalta ja raha hun
chala hai mujh se aage mera saya
so main bhi sath chalta ja raha hun
ye chaha tha ki patthar ban ke ji lun
so andar se pighalta ja raha hun
bahut nazan hun mahrumi pe apni
isi par hath milta ja raha hun
kisi ka wa'da-e-farda nahin main
tu kyun farda pe Talta ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.