tere shahr-e-amn ka kya kahen ki har ek makan juda sa hai
tire shahr-e-amn kā kyā kaheñ ki har ik makān judā sā hai
haiñ daroñ pe qufl lage hue sar-e-tāq diip bujhā sā hai
tirā dasht bhī to hai be-karāñ mirī vahshatoñ kī bhī had nahīñ
mire jurm-e-ḳhāna-ḳharāb ko to ye rahguzar bhī dilāsā hai
tirī yaad aa.ī to kis tarah maiñ pukārtā hī chalā gayā
koī dam rukā to ḳhabar huī ki ye koh koh-e-nidā sā hai
mirī ġhairat-e-hama-gīr ne mujhe tere dar se uThā diyā
kuchh anā kā zor jo kam huā to ḳhabar huī tū ḳhudā sā hai
abhī lā kī manzil-e-saḳht meñ huuñ fareb-o-vahm-o-gumāñ liye
mire dil meñ phir bhī basā huā tirā naam radd-e-balā sā hai
ye masāfateñ shab-e-tār kī ye na ḳhatm hone ke silsile
abhī fāsla rag-e-jāñ se hai to hanūz garche zarā sā hai
tire ḳhatt-e-husn-e-jamāl ko mire harf-e-ā.ina-sāz ne
ka.ī rañg de diye pur-kashish magar ab bhī ek ḳhalā sā hai
tere shahr-e-amn ka kya kahen ki har ek makan juda sa hai
hain daron pe qufl lage hue sar-e-taq dip bujha sa hai
tera dasht bhi to hai be-karan meri wahshaton ki bhi had nahin
mere jurm-e-KHana-KHarab ko to ye rahguzar bhi dilasa hai
teri yaad aai to kis tarah main pukarta hi chala gaya
koi dam ruka to KHabar hui ki ye koh koh-e-nida sa hai
meri ghairat-e-hama-gir ne mujhe tere dar se uTha diya
kuchh ana ka zor jo kam hua to KHabar hui tu KHuda sa hai
abhi la ki manzil-e-saKHt mein hun fareb-o-wahm-o-guman liye
mere dil mein phir bhi basa hua tera nam radd-e-bala sa hai
ye masafaten shab-e-tar ki ye na KHatm hone ke silsile
abhi fasla rag-e-jaan se hai to hanuz garche zara sa hai
tere KHatt-e-husn-e-jamal ko mere harf-e-aina-saz ne
kai rang de diye pur-kashish magar ab bhi ek KHala sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.