tere sitam ka bahut ghalghala sunai de
tire sitam kā bahut ġhalġhala sunā.ī de
mire habīb mujhe izn-e-lab-kushā.ī de
mileñ jo ham to zamāna gumāñ kare kyā kyā
ḳhudā-e-pāk use qalb kī safā.ī de
haiñ naḳhvatoñ ke bhī kāñTe gul-e-ibādat meñ
ġhurūr-o-kibr kā phal shāḳh-e-pārsā.ī de
ye kis qabīl ke logoñ se rabt hai terā
ki jo bhī bazm se nikle tirī duhā.ī de
nizām-e-dahr mohabbat pe ustuvār kareñ
ḳhudā ham ahl-e-mohabbat ko gar ḳhudā.ī de
tere sitam ka bahut ghalghala sunai de
mere habib mujhe izn-e-lab-kushai de
milen jo hum to zamana guman kare kya kya
KHuda-e-pak use qalb ki safai de
hain naKHwaton ke bhi kanTe gul-e-ibaadat mein
ghurur-o-kibr ka phal shaKH-e-parsai de
ye kis qabil ke logon se rabt hai tera
ki jo bhi bazm se nikle teri duhai de
nizam-e-dahr mohabbat pe ustuwar karen
KHuda hum ahl-e-mohabbat ko gar KHudai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.