tere wajud ko bas aan-ban mein rakkha
tire vajūd ko bas ān-bān meñ rakkhā
koī bhī aks na suune makān meñ rakkhā
bas ek vahm sā sāya-fagan rahā barsoñ
jo phuul suukh gayā ḳhāk-dān meñ rakkhā
mirī anā ke agar rū-ba-rū nahīñ koī
to zikr kis kā ye apne bayān meñ rakkhā
sunātā kaise maiñ qissa ye be-hisī kā yahāñ
ki ḳhud ko us ne magar darmiyān meñ rakkhā
musāfirān-e-adam kā paḌāv kyā 'anvar'
ki us ne ḳhud hī unheñ sā.ebān meñ rakkhā
tere wajud ko bas aan-ban mein rakkha
koi bhi aks na sune makan mein rakkha
bas ek wahm sa saya-fagan raha barson
jo phul sukh gaya KHak-dan mein rakkha
meri ana ke agar ru-ba-ru nahin koi
to zikr kis ka ye apne bayan mein rakkha
sunata kaise main qissa ye be-hisi ka yahan
ki KHud ko us ne magar darmiyan mein rakkha
musafiran-e-adam ka paDaw kya 'anwar'
ki us ne KHud hi unhen saeban mein rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.