tere yaqin ke qabil agar nahin to na ho
tire yaqīn ke qābil agar nahīñ to na ho
jo dāstān-e-vafā mo'atabar nahīñ to na ho
hazār rañj uThā kar bhī muskurā.eñge
hayāt-e-ishq agar muḳhtasar nahīñ to na ho
bahār aa.e to kyūñ-kar qafas meñ chain paḌe
agar kisī ko ġham-e-bāl-o-par nahīñ to na ho
ab uTh ke jaa.eñ kahāñ but-kade kī raah haiñ ham
ye rāsta bhī tirī rahguzar nahīñ to na ho
ġham-e-hayāt kā shikva bhī kuchh nahīñ hai mujhe
jo mere haal kī un ko ḳhabar nahīñ to na ho
unheñ maiñ va.ada-farāmosh kah nahīñ saktā
madār-e-zīst is ummīd par nahīñ to na ho
mujhe to manzil-e-maqsūd tak pahuñchnā hai
rah-e-vafā meñ koī ham-safar nahīñ to na ho
nahīñ hai naaz mujhe apnī sher-goī par
mire kalām meñ fikr-o-nazar nahīñ to na ho
naved-e-marg mubārak ḳhushā ye hijr kī raat
mire nasīb meñ 'nudrat' sahar nahīñ to na ho
tere yaqin ke qabil agar nahin to na ho
jo dastan-e-wafa mo'atabar nahin to na ho
hazar ranj uTha kar bhi muskuraenge
hayat-e-ishq agar muKHtasar nahin to na ho
bahaar aae to kyun-kar qafas mein chain paDe
agar kisi ko gham-e-baal-o-par nahin to na ho
ab uTh ke jaen kahan but-kade ki rah hain hum
ye rasta bhi teri rahguzar nahin to na ho
gham-e-hayat ka shikwa bhi kuchh nahin hai mujhe
jo mere haal ki un ko KHabar nahin to na ho
unhen main wada-faramosh kah nahin sakta
madar-e-zist is ummid par nahin to na ho
mujhe to manzil-e-maqsud tak pahunchna hai
rah-e-wafa mein koi ham-safar nahin to na ho
nahin hai naz mujhe apni sher-goi par
mere kalam mein fikr-o-nazar nahin to na ho
nawed-e-marg mubarak KHusha ye hijr ki raat
mere nasib mein 'nudrat' sahar nahin to na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.