tere zauq-e-bandagi ka rahe motarif zamana
tire zauq-e-bandagī kā rahe mo'tarif zamāna
use sajda kar ke 'nudrat' kabhī hosh meñ na aanā
vo sujūd-e-shauq-e-paiham vo kisī kā āstāna
vahī DhūñDhtī haiñ āñkheñ jo guzar gayā zamāna
tire saath maiñ haram meñ tire saath but-kade meñ
na kahīñ qarār tujh ko na kahīñ mirā Thikānā
maiñ use adā karūñgā jo hai farz-e-ishq mujh par
magar apne 'ahd-o-paimāñ kahīñ tum na bhuul jaanā
ye chaman kī dil-farebī ye mushāhide kī duniyā
ye guloñ meñ rang ban kar tire husn kā samānā
ye adā-e-dil-shikan bhī mujhe hai umīd-afzā
mirā hāl-e-ġham sunānā tirā sun ke muskurānā
mujhe daad de na kyūñkar mirī himmat-e-asīrī
ki tamām 'umr samjhā maiñ qafas ko āshiyāna
ba-juz is ke kuchh nahīñ hai mirī zindagī kā hāsil
tirā dard dil meñ rakhnā tire ġham se lutf uThānā
vahīñ āsmāñ se 'nudrat' gire barq ik achānak
jo karūñ maiñ ye tasavvur ki qafas hai āshiyāna
tere zauq-e-bandagi ka rahe mo'tarif zamana
use sajda kar ke 'nudrat' kabhi hosh mein na aana
wo sujud-e-shauq-e-paiham wo kisi ka aastana
wahi DhunDhti hain aankhen jo guzar gaya zamana
tere sath main haram mein tere sath but-kade mein
na kahin qarar tujh ko na kahin mera Thikana
main use ada karunga jo hai farz-e-ishq mujh par
magar apne 'ahd-o-paiman kahin tum na bhul jaana
ye chaman ki dil-farebi ye mushahide ki duniya
ye gulon mein rang ban kar tere husn ka samana
ye ada-e-dil-shikan bhi mujhe hai umid-afza
mera haal-e-gham sunana tera sun ke muskurana
mujhe dad de na kyunkar meri himmat-e-asiri
ki tamam 'umr samjha main qafas ko aashiyana
ba-juz is ke kuchh nahin hai meri zindagi ka hasil
tera dard dil mein rakhna tere gham se lutf uThana
wahin aasman se 'nudrat' gire barq ek achanak
jo karun main ye tasawwur ki qafas hai aashiyana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.