teri aankhon ka manzar samne hai
tirī āñkhoñ kā manzar sāmne hai
maiñ pyāsā huuñ samundar sāmne hai
anā baḌhne nahīñ detī hai aage
mire raste kā patthar sāmne hai
ḳhayāloñ se hai kosoñ duur lekin
nigāhoñ meñ vo aksar sāmne hai
maiñ ḳhud se roz hotā huuñ baġhal-gīr
mirā apnā hī paikar sāmne hai
na jalva hai na ā.īna hai koī
ye hairat hai vo kyūñkar sāmne hai
masāfat hai ik ā.īna-nazar kā
kahīñ jā.ūñ mirā ghar sāmne hai
khilā hai ai 'ziyā' nazroñ meñ ik phuul
koī sūrat badal kar sāmne hai
teri aankhon ka manzar samne hai
main pyasa hun samundar samne hai
ana baDhne nahin deti hai aage
mere raste ka patthar samne hai
KHayalon se hai koson dur lekin
nigahon mein wo aksar samne hai
main KHud se roz hota hun baghal-gir
mera apna hi paikar samne hai
na jalwa hai na aaina hai koi
ye hairat hai wo kyunkar samne hai
masafat hai ek aaina-nazar ka
kahin jaun mera ghar samne hai
khila hai ai 'ziya' nazron mein ek phul
koi surat badal kar samne hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.